Wednesday, March 30, 2005

aaj phir hawa chali hai

aaj phir hawa chali hai
pattiyan bikhreeiN haiN, tehniyaN tuteeiN haiN

aaj bhi yad hai, wo baariSH ki pahli hawa
jab kuch ankur phute the
kuch panchee aye the, in tehniyon pe

aaj phir wo panchee aye hain
gaye hain kisi aur ped par
ab ye tehniyan unhein anjaan lagti hain

aaj phir ek hawa chali hai
sapne bikhrein hain, armaan tute hain

aaj phir chali hai, wo barish ki pahli hawa
yadein aayein hain
kuch aansoon aye hain, in palkon pe

aaj bhi ayeein haiN kuch khushiyan
magar ab wo hameiN anjaan lagti haiN

Thursday, March 24, 2005

maiN apne kadmoN ke nishaN mita aaya hooN

maiN apne kadmon ke nishaN mita aaya hooN
kadam chalte hain is dagar pe.....
par ab ye thakte naheiN
aur ab ye rukte naheiN

main apne peeche usS kal ko mita aaya hooN
chale the jab hum saath-saath.....
par ab wo kadam saath naheiN
aur ab wo kal, kal naheiN

main apne peeche is dagar ko mita aaya hooN
aati hain yadein aaj bhi........
par ab ye kaaNtoon ki tarah chubhte naheiN
aur ab ye aansooN banke bahte naheiN

main usS yaad ko bhula aaya hooN
chale the jab hum saath-saath.....
milte hain naye dost aaj bhi
magar ab, unki koi zarroorat nahein
Free Hit Counter
Free Website Counter